Sunday, 10 April 2016

Mobile Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Badiya Tarike



Aaj 4G ka jamana hai but in sab ka kya fayda jab phone me 2G bhi sahi se nahi chalta ho. Android user ko ye problem rahti hai ki uska phone baar baar hang hota hai isi samsya ka hal nikalne ke liye maine ye article likha h . internet pack dalane ke bawjud bhi mobile me net fast nahi chalta hai. Aysa nahi hai ki phone me internet speed slow chalne ki kharab internet connection hi ho. Actually android mobile me slow net chalne ki kuch or bhi wajah hoti hai.

ye bhi pade

Agar aap ye post padh rahe ho to jahir hai aap apne mobile ki slow internet speed se pareshan hai. Dom’t worry ab aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai.Is post me mai aapko internet speed fast karne ki aysi trick btane ja raha hu. Jo real me aapke smart phone ki internet speed ko  fast bana degi.

Apne Android Phone Ki Internet Speed Kaise Badhaye 7 Badiya Tarike

1. Android Phone Kharidne Se Pahle Ye Bate Dhyan Rakhe
Slow internet ka karan aapka mobile bhi ho sakta hai. Isliye aapko nre mobile buy karte time in bato ka khyan rakhna chahiye. Phone kharidte samay uski Internal Memory par dhyan de, Mobile ki internal memory jyada honi chahiye. Sath hi android mobile ki Ram and Peocessorka bhi dhyan rakhe. Aapke mobile ki jitni jyada ram hogi or jitna badhiya processor hoga. Utni hi badiya phone ki internet speed or performance hogi. Isliye naya mobile kharidte time in cheezo ka khas khyal rakhe.
  • 2. Phone Ke Internet Browser Ko Update Kare
Mobile me dheemi internet chalane ki sabse badi wajah hoti hai ki aapka internet browser update nahi hai. I sure agar aap internet browser ko update kar lete ho to internet speed 20% tak badh jayegi or fast browsing hogi. Jab aapko broeser me slow browsing hoti mahsoos ho to samajh lijiye ab is browser ka latest version aa gaya hai. Log smartphone me sabse jyada uc browser use karte hai or uc browser humesha latest version me achi speed deta hai.
Actually humare kisi bhi browser ko adhik samay tak use karne se usme virus jaisi problem ho jati hai .Isliye software company browser update bhejti rahti hai. Jisse browsing experience bana rahta hai. Isliye aap jab bhi aapko last update ki notification mile to aap browser ko jarur update kare.
Browser ke sath hi Google Play Service or Google Play Store ko bhi update karna na bhoole. isse bhi internet speed me fark padta hai or aapke mobile ko better processing milti hai. Plat store ko nahi to google play service ko to jarur update karte rahe
3. Virus Scanner Install Kare
Jab bhi aap safar me hote ho. Fir chahe aap train ,bus, matro ya kisi bhi or vehicle me ho to aap safar me internet jarur use karte honge. Ayse time me unsecured websites se virus attak ka khatra jyada badh jyada hai. Virus se aapke mobile par bura asar padta hai jisse internet speed kam ho jati hai.
Isliye aapke mobile me Anti-virus ka hona Bahut jaruri hai. Important bat ye hai ki virus scanner se aapke phone ki internet speed to badhegi hi sath hi aapka mobile bhi secure rah
4. Uninstall Extra Apps
Aajkal play store par bahut sare games and other features application avaialable hai ki har koi unhe istemal karna chahata hai. Agar aapke pas anroid phone hai to is bat me koi shaq nahi hai ki aap game app use karte hoge.
Mobile me exra apps use karne se internal memory full ho jati hai. Jiski wajah se aapke smartphone ki processing slow ho jati hai or internet bhi dheemi chalne lag jati hai. Isliye phone me se sabhi extra apps ko uninstall kar de. Or aap chahao to un apps ko bhi delete hata sakte ho jo phone me pahle se ho or aapke koi kaam ke nahi hai. Isse aapke mobile ki memory 40% tak badh jati hai.

5. Internal Memory Badhaye – Clear cache
Jiasa ki maine upar btaya tha ki phone me fast net chalane ke liye internal memory jyada honi chahiye. So aap apne phone me internet memory ko badhane ke liye faltu ke application ko remove kar sakte ho sath hi phone ke apps ki cache history or unwanted files ko clear kar ke internal memory badha sakte ho. Internal memory badhane ke 3 badiya tarike hai.
  1. Clear Cache: Apne smartphone ke apps ki samay samay par caches delete karte rahe. Iske liye aap amdroid phone ki settings > storage > cached data ya apps par ja kar caches ko remove kar sakte ho.
  2. Uninstall Extra Apps: Aap phone me se un sabhi application ko uninstall kar sakte ho jo aapke kisi kaam ke nahi hai or jinhe aap bilkul bhi use nahi karte.
  3. Delete Unwanted Files: Android phone me ek sase badi problem hoti hai ki usme memory card and phone memory me unwanted files apne aap banti rahti hai. Jiski wajah se internal memory bhar jati hai. Aap kuch time ke bad in unwanted files ko delete karte rahe.
6. Phone Me Big Size Ki Files Download Na Kare
Mobile ki internet speed slow hone ka ek or bada reason hota hai phone me badi badi files jaise HD movies, videos download karna. Aapko btana chahunga ki jab hum mobile me jyada badi files download karte hai to internet automatically slow ho jata hai. Shayad aapne bhi ye dekha ho. Isliye phone me big size ki file download karnse bache.
Sath hi phone ke download folder ko khali rakhe. Aap jo bhi item dowload kare use download karne ke bad memory card me move kar le.
  • 7. Facebook Apps Ko Uninstall Kare
Mobile me slow internet chalne ka facebook apps bhi bada reason hai. Facebook apps ko use karne par isme bahut jyada caching add ho jati hai or ye akle apps hi phone memory me 200 MB se jyada size ki jagah bana leta hai. Or sabse badi bat facebook  apps me kei bar hack hone ki shikyat bhi rahit hai. Ayse me aap facebook aplication ko uninstall karke apne mobile speed ko badha sakte hai. Ye trick mai already use kar chuka hu isse lagbag 10% internet speed fast ho jati hai.
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki agar aapko apne phone me 2G ko bhi 3G ki tarah use karna hai to humesha apne phone ko clean rakhe. Aapka mobile jitna clear hoga utni hi badiya service dega. Aap ye trick try karke dekhe mujhe wishwas hai aap jarur kahenge ki wastav me ye tips kargar hai or really me work akrti hai.
Agar aapko ye article acha lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare jisse wo bhi apne mobile me fast net chala sake.

Blog ki URL & Title ko kaise change karain

Apne Blog Ki URL Title Kaise Kyu Change Kare

Visitor  blogger url title remane karne ke bahut sare region ho sakta hai, Jab hum starting karte hai blogging career to blog ke bare me kuch nahi pata hota hai simply koi common name ke kar create karte hai. Lekin mai bata du agar hum jab tak koi Top Keyword apne blog URL OR Title me nahi use karne to blog par hamesha traffic kam hi milega. 
Is liye agar aap blogging ache aur main yahi kahunga aap sabse pahle aap apne aap mein dekhe aap kya aati hai aur aapko kisme man lagta hai.
Jaisa ki apko pata hai agar aap paise kharch karke acha sa domain name kharid lete ho jo karib bahut hi sasta hai Rs. 99 me 1 Year ka apko domane name mil jata jo blospot.com removed ho jayega.
Ya phir yeh bhi hoskta apne kisi ek kaam ke lie blog banaya phir usme ban nahi lagaya traffic kam mila ya interest nahi hai to aisa me aap diffrent type ke blog bna sakte hai jaise :- Make money blogging help. shopping , Marketing, Technology, News etc 
Uske  baat se ek acha sa top level domain name kharid or custom domain name allhindimehelp.blogspot ko remove or Sub domain name chenge kare apne blog ko allhindimehelp.com



Title Or Domain Name Se Kaise Blog Traffic Ko Badhaye 

Agar aap blog par aise hi bane rahna chahte hai or kuch paise earn karna hai to is baat ko dhyan me rakhe blog se related acha keyword kuch kare title me or domain name aisa fide kare jo ek acha keyword ho agr koi rearch kare to search result me bhi show kar sakte jise hum apne blog traffic increase kar sakte hai. Url title aisa rakhna chahiye jo visitor ko yaad rakhe short url rakhe to jade better hoga.
Kahne ka ka matlab ye hai koi aisa keyword na use kare jiska koi matlab nahi or jise humare blog par negative asar pade.

Apna Blog Blogger Ka Name Kaise Change Kare 

Blog name change kar bahut hi simple hai step by step follow kare

Step 1. Sabse pahle apne blog ki Dashboard me log in kare

Step 2. Ab sabse uppar blog Title Edit par click karne ke baad apne website se related acha or unique keyword use kare

Step 3. Blog address url change karne ke liye edit par click kare unique new blog address acha likhe phir publish kare





I hope ki apko blog url or title change karne me koi problem nahi hoga. Is tutorials ki help se idea mil jayega aur badi hi asani se new blogger user apna blog name change kar sakte hai.
Blogger sambandhit koi bhi help chahiye to aap mujhe comment karke puch sakte ho.hindimejankari.in